Tuesday 1 January 2019

Badi Door Se - Mohammad Rafi - Samjhauta 1973

Badi Door Se

Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain
Apana lo ya thukara do, pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain

Jo dilon ke nate hain woh jode nahi jaate repeat
Jod liye toh… Phir tode nahi jaate
Yeh naate, yeh naate. yeh naate dil mein basaye hain,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain

Anjaane logo mein koyi saathi toh milega repeat
Koyi toh hoga jo humko samjhega
Yeh sapana, yeh sapana,  yeh sapana dil mein sajaaye hain,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain

Hum yaar hai yaaron ke, nibha denge yaari,
Kya samajhe bachche
Hum yaar hai yaaron ke nibha denge yaari
Yaari hai humko saari duniya se pyaari
Apana toh dil hai sada
Phir bhi hai atal iraada
Hai jaan se pyaara wada,
Wada kabhi na todenge
Jite ji hum yaaron ka saath na chhodenge repeat

Sahaare sahaare sahaare yaaron ke paaye hain,
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain.