Sunday, 1 July 2012

Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai


Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai

ameer se hoti hai gariib se hoti hai,
dur se hoti hai quarib se hoti hai
magar jahaan bhi hoti hai ai mere dost, shaadiyaan to naseeb se hoti hai

aaj mere yaar ki shaadii hai -2
lagataa hai jaise saare sansaar kii shaadii hai, aaj mere yaar ki

vaqt hai Khubsurat bada shubh lagan muhurat
dekho kya Khub jameen hai dulhe ki bholi surat
dulhe ki bholi surat

Kushi se jhuume hai man milaa sajanii ko saajan
kaise sanjog mile hain choli se bandh gaya daaman
choli se bandh gaya daaman

o sun mere dilajaani, shuru ab hone lagi hai, nai teri zindagani
Kushi se kyon itaraaye, ahaa, aaj tu hamein nachaaye
vaqt vo aane vaalaa, o ho, dulhaniyaa tujhe nachaaye
dulhaniyaa tujhe nachaaye
kisi ke sapanon ke solah singaar ki shaadi hai...aaj mere yaar ki

taare tod-tod laau tere sahare ko sajau
phool raahon mein bichhau main pyar ke
aaj lunga main balaaen dunga dil se duaen
daal gale mein baanhein ab yaar ke
ek chaman se dekho aaj bahaar kii shaadii hai
aaj mere yaar ki shaadii hai....

No comments:

Post a Comment